Friday, August 28, 2009

True Spritualities ...!!!

Ji chahe to sheesha ban ja, Ji chahe paimana ban ja

Sheesha paimana kya ban’na, Mai ban ja maikhana ban ja

Mai bar kar, Maikhana ban kar, Masti ka afsana ban ja

Masti ka afsana bankar, Hasti se begaana ban ja

Hasti se begaana hona, Masti ka afsana ban’na

Is hone se, Is ban’ne se, Acha hai deewana ban ja

Deewana ban jane se bhi, Deewana hona achha hai

Deewana hone se achha, Khak-e-dar-e-janaana ban ja

Khak-e-dar-e-janana kya hai? Ahl-e-dil ki aankh ka surma

Shama ke dil ki thandak ban ja, Noor-e-dil-e-parwana ban ja

Seekh ‘Zaheen’ ke dil se jalna, Kahe ko har sham’ma par jalna

Apni aag mein khud jal jaye, Tu aisa parwana ban ja

Seekh ‘Zaheen’ ke dil se jalna, Seekh ‘Zaheen’ ke dil se jalna

Tu aisa parwana ban ja!

No comments: